Wo zindagi to bass naam ki thhi..
Jo tere bin jee raha thha..
Adhuuri si thhi zindagi ki har khushi..
Akele hi har aansu pii raha thha..
Naa jaane ye pyaar hai..
Yaa anjana hai ehsaas koi…
Jo shaqs kabhi anjana thha..
Aaj ban gya hai itna khaas wahi..
Aaj kal tension bhrai life me bhi..
Jab bhi tera chehra yaad aa jata hai..
Udd jata hai har bojh dimaag se..
Dil bhi ek dum khush ho jata hai..
Suun li khuda ne meri duaae..
Jo duaa maang maang kar jee raha thha..
Adhuuri si thhi zindagi ki har khushi..
Akele hi har aansu
pii raha thha..!!
-KJ :)